Saturday, June 24, 2017

Na kissa hai na kahani





Na kissa hai na Koi kahani,
Na hai in shabdon ki Koi Jubani.
man ki hoonk hai ya ehsaas,
Ya hai Koi tana bana .
Ik pal me man mein hai aur doosre pal aankhon se bah jana...

Odhli hai chadar aur  ander hi ander hai cheekhna chillana,
Dabi hui  awaz mein bhi Wo sugbugahat ka sun Jana.
Bekar ki thi ye tamanna meri,
Aisa na Koi apna hai na begana...

Ashk ko moti samjha diya,
Aisa tha rishton ka jhutlana.
Khud ko maan baithi , is duniya se anjana.
Rishton ke karobaar mein , in motiyon ka na bik pana.
Jaan gayi hoon main, Betarteeb tha mera bahak Jana.
Rishte, falsafon se dil laga baithi
Shayad yahi hota hai nashe ka Chad jana...

Zindagi ka inhi chaubaron se har roz gujar Jana .
Pal dobhar ki sajhedari ke baad , baar baar thokar khana.
Shaam hui aur unhi dillagi ki aur kadamon ka bade chale Jana...

Ye Na kissa hai na kahani, bas mera aur shabdon ka hai tana bana.......

No comments:

Post a Comment